Sharad Purnima - I Poem by ramesh rai

Sharad Purnima - I



Sharad purnima ki raat mein
jab puri shrishti soyee thee
chandrama ki aabha se alokit
kan kan tha prakashit
halki thandi shital bayaron mein
har pushpa apni khushboo bikher raha tha
prakriti k vaksha se osh ki bunde
tap tap gir rahi thee
jaise koyee maa navjaat shishu ko
stanpan karane k liye aatur ho

abhi abhi to varsha ritu ka samapan hua
har bij abhi abhi ankurit huye
har jivan se judi ek nayee trishna
kuchh paane ke kuchh kar dikhane ki

nadiyan bhi apni dhun mein
kal kal ki dhwani bikherati huyee
prawahit ho rahi thee
mano koyee alhar preyashi ki
chudiyon ki khankhanahat ya phir
payal ki runjhun aawaj se
snigdh vatavaran mein koyee
veena k taaron ko chhoo raha thha
jiske sapta swar vayumandal ko
gunjayamaan kar raha ho

Contd......

COMMENTS OF THE POEM
Neela Nath Das 08 November 2012

So unique is the description of Sharad Purnima! Neota deneke liye dhanyabaad.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success