Sometimes Poem by Suhail Kakorvi

Sometimes

Rating: 4.0

Hota hai mere saath bahara'n kabhi abhi
Ye sun ke wo hue hain presha'n kabhi kabhi
[somtimes season of flower remains with me as companion
Hearing this my beloved looks worried]

Kuch istaraf bhi choriye mizgaa'n se apne teer
kehti hai unse meri rage jaa'n kabhi kabhi
[Release some arrows from thy eyelashes to this end
Demands my jugular vein from the dear one]

Mushkil hai yun to ishq ka izhaar doston
Aata hai kaam chaak gariba'n kabhi kabhi
[It is difficult usually to express love
But the torn collar helps therein ]

wo hum hain jisko faize nigahe baseet se
Hota hai apni zaat ka irfa'n kabhi kabhi
[It is me who due to inspiration of expanded eyes
achieved the realization my own self]


Hota hai butkade main kuch aisa nizaame noor
jisse ki dagmagata hai imaa'n kabhi kabhi
[we see such system of splendor temples
By which the faith often totter ]

us waqt mujhko lagta hai ulfat hai kaamyaab
Hote hain mujhse jab wo gurezaa'n kabhi kabhi
[At that juncture I feel love is successful when
I see beloved not in tune with me}

Jismen hui hain gharq tamannayen sab meri
Aisa utha hai husn ka toofaa'n kabhi kabhi
[There all my desires are drowned
The storm which has risen from the absolute beauty]

wo shakhs aasmaane mohabbat ka chaand hai
Lekin mujhe kare hai farozaa'n kabhi kabhi
[That creature is a moon of the horizon of love though
yet brightens me occasionally]

Hote hain jismen kaif ke lakhon haseen rang
zahir hua hain wo labe khandaa'n kabhi kabhi
[They which possess lakhs of clours of delight
Are exposed yet very rarely]

Hairat hai wo sunate hain betaab dil ka haal
'Hota hai yun bhi dard ka darmaa'n kabhi kabhi'
[Surprising, that beloved tells the tale of restless heart
I treat it as the cure of my anxieties]

Hans kar wo bole sun ke mere darde dil ki baat
Badla karo suhail ye unwaa'n kabhi kabhi
[Sweetheart, hearing about the state of my aching heart, said
Change Oh! Lover this topic sometimes]
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Faize nigahe baseet=vistrit drishti ki kripa, Butkada=mandir, nizaame noor =eeshwariya prakaash ki waywasta, ulfat=prem, gurezaan=naraaz, gharq=doobna, farozaan=chamkaka, labe khandaa'n=Hanste hue honth, unwaan=vishay

Saturday, February 21, 2015
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success