Tapit (Hindi) Poem by ramesh rai

Tapit (Hindi)

Sadiyon se mamta ka anchal odhe
sneh aur prem ki pushp bikherti
jivan k har pal ko sawarti
tum tapit ho manav kaya ki

prakriti n tumhe kayee rup diye hain
saj dhaj kar shringar kiye hai
phir bhi aaj tum dikhti ho
jaise ek bhikharin ho

kabhi maa ban deti ho jivan
kabhi bhayee ka pyar ban jaati ho
kabhi pita ka sneh bani tum
kabhi jivan ka patwar ban jaati ho

ashankhya maniko se bidhi huyee tum
ek adrishya bhikharin ho
aash bani hai jisko har pal
kisi purush ki chhawn ki

tum ojaswini ho
baksh me amrit kumbh liye
phirti ho kyun tum dware dware.......

COMMENTS OF THE POEM
Tirupathi Chandrupatla 04 August 2013

baksh me amrit kumbh liye phirti ho kyun tum dware dware She goes door to door while carrying a jar of nectar, maybe to distribute. Beautiful poem. Thank you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success