Tera Saath Jana Hai Mujhko Poem by Shrini Deewana

Tera Saath Jana Hai Mujhko

Zinda rehane ki koi chahat nahin hai mujhko sanam,
Mujhko to chahat hai tere baahon mein mar jaane ki,
Saath hum na reha sake is jeevan mein to kya,
Saath tera har pal chahiye mujhe agale jeevan mein.

Jab se mujhe mila hai sanam meetha pyaar tera,
Khud ko bhi kayee baar bhul jaata hoon mein,
Na jaane kaise daur se guzarta hoon mein abhi,
Zindagi jeene ki chahat ko bhi bhool jaata hoon mein.

Ai sanam ab to nahin hai jeena mujhe is bedard duniya mein,
Jo duniya kabhi samajhthi nahin pyaar kisi sache dil ki,
Tujhko paakar hi samjha maine ki mohabbat kya hai,
Ab to lagta hai itne saalon se ek zinda laash tha mein.

Chahe dafna do ya jala do mere chitha ko tum agni mein,
Bas ek guzaarish hai ai bereham duniya waalon,
Maut mein to milne do mujhe sanam se mere,
Ek saat hi dafna do ya jala do mujhko aur sanam ko mere.

Bahut judai seha lee hai hum dono ne is jeevan mein,
Ab to hum dono ko ek duje ke saath tum rehane do,
Shayad khuda ko bhi manzoor tha yehi milan apni,
Isi liye khuda ne hum dono ko bhi saath bulaya hai is jag se.

COMMENTS OF THE POEM
Fiona Davidson 15 January 2009

It's very nice to see a poet posting so many poems at once but is there any chance we could have a translation in english please....Fi

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success