Tere Bina Poem by dr.Neha gupta the POEMLOVER

Tere Bina

Vishwas nahi hota,
Yahi WO zindagi hai,
Jisse Maine kabhi pyar kiya tha,
Aaj yahi zindagi saza lagti h mujhe,
Yun to mai roz zehar nahi piya karti
Fir bhi lagta h,
Roz Mrne ki adat ho gyi h mujhe,
Saanse to mai roz leti hu,
Fir bhi har pal ghutan me rehne ki adat ho gyi hai mujhe,
Tere Jane k baad bhi,
Log to bhut h Charo taraf,
Fir bhi akele rehne ki adat ho gyi h mujhe,
Janti hu Jo chaha,
Vo mera kbi tha hi nahi,
Fir bhi use har dua me mangne ki adat ho gyi h mujhe,
Yun to mai roz bheed me chala krti hu,
Fir bhi bheed me bhi tanha rehne ki adat ho gyi h mujhe,
Ye zindagi ye safar ye log or ye khushi,
Sab sirf jute hai,
Fir bhi dard me muskurane ki adat si ho gyi h mujhe,
Tere sath sari zindagi jee to na saki,
To kya hua agar,
Tujhse bichad kr har pal me Marne ki adat ho gyi h mujhe......

Saturday, May 24, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success