Teri Muskaan Poem by Shrini Deewana

Teri Muskaan

Tumahare muskaan se hi judi hai sanam muskaan meri,
Tumahare hi jaan se judi hai jaaneman jaan meri,
Saansein to alag se le raha hoon mein sanam lekin,
Tumahare dil se hi judi hai sanam mere dil ki har dhadkan meri.

Mana kabhi keha deta hoon mein bahut kuch hum tumse sanam,
Aur kayee baar in baaton se maine tumahara dil bhi thoda hai sanam,
Tujhe dard dene ki kabhi koi khawaaish nahin hai mujhko ai meri sanam,
Phir bhi na jaane kyon keha deta hoon mein tujhe kuch kabhi kabhi ai sanam.

Jaanta hoon mere boli se pahunchthi hogi kitne dard tere dil mein,
Par kya tum yeh jaanti ho mein bhi chain se nahin reha pata,
Jab bhi suntha hoon mein tumahare siskiyaan sanam,
Chahat to yehi hai ke sada tere muskaan bankar mein rahoon.

Tere aankhon mein kabhi aansoon na aaye aise tere hifaazat mein karoon,
Tere kadam kabhi naa pade raah mein kisi kaanton par,
Tere kadmon ko kaante choomne se pehale hi ai sanam,
Un kaanton ko mein jhel loon mein apne dil mein sanam.

Yeh koi nafrat nahin yeh to mohabbat hai jo keha jaati hai tujhse kuch baatein,
Phir wohi baaton ko sochkar maine bhi guzaaree hai kayee jagi jagi raatein,
Jab bhi tere dukh bhari awaaz goonjthi thi ai sanam mere kaanon mein,
Bheeg jaati thi meri aankhein aur behane lagte ashkon ke katre mere aankhon se.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success