Teri Nazrein Poem by Shrini Deewana

Teri Nazrein

Jab nazrein mile mere tere nazron se,
Nazron se kuch bhi chupaya na gaya,
Tere dil mein chupi saari baatein,
Ek pal mein hi nazron ne bayan kiya.

Tere nazron mein maine dekha mohabbat teri,
Tere nazron mein maine sharam haya dekha,
Tere nazron mein maine dekha ek darr,
Tere nazron mein maine tera sapna dekha.

Jab mila raha tha main tere nazron se nazar,
Tab haye sharam se jukh jaati tera sar,
Tirchi nazar se dekh rahi thi tu mujhko,
Aur dil mera bas bekaboo hota hi gaya.

Woh sharmilee si muskaan teri,
Bankar ek teer mere dil mein utari,
Dil karta hai tujhe itna mein pyaar karoon,
Tujhe bahon mein bharoon aur pyaar karoon.

Tadapti thi palkein jab ek darr tere dil mein hota tha,
Sharam mein tere palkein bandh ho jaati thi,
Jab bhi koi thes tere dil ko lagta tha,
Tere baaye aankhon mein aansoo aa jaati thi.

Jitni khamosh thi teri zubaan utni hi baatein teri nazrein karti hai,
Zubaan tere bandhe aur khamosh rahe phir bhi,
Teri nazron ki boli samajhti hai meri nazrein,
Kuch tujhe batane ki zaroorat hi nahin sanam,
Hum pad chuke hai saari baatein tere nazron se.

Bas tumse ek choti si guzaarish hai Sanam,
Kabhi apne aankhon mein aansoo na aane dena,
Jab bhi dooba ho dil ghamon mein tera Bas yaad humein tu karle sanam,
Mein saamne tere aa jaoonga aur bahon mein tujhe mein bhar loonga.

Lekar tujhe mein apne bahon mein tere saare gham bhula doonga,
Tere jeevan ke saare lamhon ko bas khushiyon se mein bhar doonga,
Yeh waada aaj tujhse karta hoon mein Deewana,
Jeevan bhar mein tera hi rahoonga Sanam.

SHRINI “DEEWANA”

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success