Teri Yaadein Poem by Shrini Deewana

Teri Yaadein

Teri yaadon mein mere subah beeti hai,
Tere hi yaadon mein beeta mera shaam,
Tere hi yaadon mein sari raat mein jagta hon,
Tere yaadon ke siva nahin hai mujhe koi kaam,

Ab to tu hi batadey oh Jaaneman meri,
Kaise guzaaroon mein meri umar tamam,
Tum to keha deti ho is Deewane ko,
Itna yaad na karna mujhe oh Deewane.

Deewane ki dil ka haal bhi socho zara,
Jiski har dhadkan kahe tera hi naam,
Agar mein yaad na karoon tujhe to jeeyoon kaise,
Mere jeevan ke saansein bhi chalti hai tere hi naam se.

Deewana bhi jaanta hai tumahare dil ko,
Jo har pal har ghadi yaad to karti rehati ho mujhe,
Phir bhi bas kehane ko kehati rehati ho,
Na mein tumhein yaad karti hoon, Na tum mujhe yaad karna.

Mana hum tum mile nahin hai ab tak,
Par yeh to nahin hai ke mein tumhein jaanta nahin,
Jaanta hoon mein har dhadkan ko tumahare,
Jo bas dhadakti hai Deewana ke hi naam se.

Mohabbat se jab bhara hai dono hi dil,
Kareeb rehane ki zarurat hi nahin,
Door reha kar bhi hum tumahare dil ko jaante hai,
Tumahare Dhadkan ko hum apne Dhadkan sa maante hai.

Dilruba yeh kabhi na sochna tum ke hum nahin mile hai,
Ek din aise hoga jab hum honge ek duje ke baahon mein,
Jab hum itne kareeb honge ke hawa bhi na jayega hamare beech,
Yeh waada hai Deewana ka Deewani se.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success