Tum Hi Ho Honthon Ki Muskaan Meri Poem by Shrini Deewana

Tum Hi Ho Honthon Ki Muskaan Meri

Pehele jo udaasi chaayee rehathi thi chehare mein,
Par aaj badal gayee hai muskaan mein
Jab se tum aayee ho jeevan mein
Zindagi rangeen ho gayee hai,

Aise ek apnapan jo jataya hai tumne,
Ke hum aapke deewane ho gaye hai
Pehele to the hum sirf naam ke deewana
Ab to hum sahi lafzon mein deewana ho gaye hai

Zindagi ke raah mein to hum pehale bhi chalte the magar,
Jab se tum aayee ho raha guzar banker,
Raah ab aur bhi haseen ho gayee hai,
Tum sang rahogi to jaanam in raahon mein hum chalte hi jaayenge.

Din raat tumahare hi yaadon mein khoye rehate hai sanam,
Yaadon mein rehate rehate pata hi nahin chalta,
Kab subah se shaam hui din raat ab ek se lagte hain,
Din mein aise ek pal hi nahin jab yaad tujhe na karta ho.

Agar aap saamne ho aur kuch likhne kaho,
To hum yuhin bas likhte hi jaayenge,
Kaagaz bhar jaayegi kalam ki syaahi khatam ho jaayegi
Par haath hamara kabhi na thak kar rukh jayegi.

Phir agar tum woh kagaz lekar dekho kya likha hai humne,
To har kaagaz mein sirf tumahara hi naam tum paogi
Tumahara naam likhte rehane ko mein
Apni khush kismat samajhta hoon, .

Har koi khush naseeb nahin hote mere jaise
Jinhe itni pyaari mohabbat milti hai
Tum sirf mohabbat hi nahin chahat ho meri,
Tum sirf dil hi nahin dharkan ho meri,
Ai sanam mein tera saath na chodunga janam janam tak,
Kyon ki tum hi to hothon ki muskaan ho meri

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success