Uncle Ji Poem by Deepak Manchanda of Delhi

Uncle Ji

Line ke peeche se aakar
Pehle apni hi baat sunaakar
Sab kuch apne liye hi chaahte ho
Uncle ji kya yeh hai sahi?

Red signal per dhaak jamaakar
Paan ki bauchaar sadak per phenk kar
Constable ko do chaar naam suna aate ho
Uncle ji kya yeh hai sahi?

Bijli ki taar se meter utraakar
Paani ke tanker roz apne hi ghar par
Daily ka malba doosre per hi phenk jaate ho
Uncle ji kya yeh hai sahi?

Scooter per helmet na lekar
Auntyji aur teen baccha baby sametkar
Road per right se aur left se bhi aate jaate ho
Uncle ji kya yeh hai sahi?

Tinku ka yahan ice cream wrapper
Chintu ka wahan No 1
Pappu ke Papa ki hi Sir
Chalti hai idhar

Uncle ji - aur nahi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success