Urdu Poem Poem by anam naz

Urdu Poem

sehr.e.gumrahi haye kis tarah ik aur shab main dhal gae.
meri zaat tak ko khaber na mili, meri zeest kesy badel gae

Mery kalb.o.jiger k dareechon main ik aah chupi thi unkahi
mery lafz yunhi dab gaye, meri zuban kesy pighal gae

mery paish.e.nazer thi ik aur hi dunya sitaaron jesi saji hui
meri khuwaisho ka katel hua, meri aas yaas main kesy dhal gae

meri hasti k is angan main ik kali khili thi mehkti hui
na jaany kis ki nazer lagi yeh zeenat.e.gulshan kaisy ujar gae

yehi duriaa, yehi raqabtain hain mera muqader bani hui
meri muhabto ko na sila mila, meri ulfat nafrat main kaisy jal gae

zindagi k isi dushwaar mor per main aaj bhi hun khari hui
mery sharik.e.safer kahaan chal diye, meri manzel kesy badel gae

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
anam naz

anam naz

pakistan
Close
Error Success