Wapsi Poem by Satyapal Anand

Wapsi



Tang pathreeli gali ne chaunk kar awaz di
-Shayid wuhi hai!
Dhoop, jo aahistgi se seeRhian chaRtey huey
Bey-dam si shayid thak gai thi, aik lehza ruk gai
-Kiya waqayi whoh aa raha hai?

Zouf ki maari huyi booRhi hawa ne popley munh se kaha Main uski khushbu soongh sakti hun
Wuhi nat-khat hai, wapis aa raha hai!

BooRhey darwazon ki aankhen band theen
-Kuchh bhi nazar aata nahin, shayid wuhi ho!

Uskey bachpan ka khilanDra dost, ik kancha
Jo pichhlet saaTh barson sey

Gali key aik koney main manoN maTTi key neechey so raha tha Kulbali kar cheeKh uTha,
Al-madad! Koyi mujhey bahir nikalo!
Haan, wuhi hai, dhoop boli,
Par who bachcha jisko main pehchanti thi
Aaney waley mard dil main kahiN gum ho gaya hai.

BooRhey darwazon ne aankheN khol deeN
-Pehchantey hain ham isey, laRka wuhi hai
Baap ki maaNind lamba ho gaya hai!

Tang pathreeli gali boli,
-Main kitni peeRhion se
Nanhey qadmoN ke baRey hotey huay sab naqsh
Apney jism par sambhaal kar rakhti rahi huN.

CheeKhta kancha manoN maTTI ke neechey ro diya
-Main kaisey nikluN?
Aur phhir booRhi hawa jo dam-bakhud si ruk gayi
thi Khilkhila kar haNs paRi
-Aao, zara deikheN,
Tumhare gall, aaNken, baal, chehra to wuhi hai
Itni muddat tak kahaN gum ho gaye thay?
Ab kaho aaya karo gay?

[A poem expressing feelings of the poet following a visit to his birthplace after 52 years. Professor Satyapal Anand visited his native village Kot Sarang, Tehsil Talagang, District Chakwal, Punjab, Pakistan for the first time after his migration to India.]

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Satyapal Anand

Satyapal Anand

Chakwal / British India (Pakistan)
Close
Error Success