Waqt E Judai (Urdu) Poem by Jazib Kamalvi

Waqt E Judai (Urdu)

Rating: 5.0

Ghadi ye alvida ki hai bichadna lazmi thehra.
Faza e dostan ko ab badalna lazmi thehra.
Hamain aese bichadna hai ke goya kal bhi milna hai.
Laga kar hazari chupke nikalna lazmi thehra
kisi raste pe mil jain kisi manzil pe mil jain.
Bashart e zindagi ay dost milna lazmi thehra.
Yahi lamha dilon per baarha pehlay bhi guzra hai.
Magar waqt e judai dil machalna lazmi thehra.
Kaheen jazbaat main jazib khuda hafiz na keh dena.
Taqaza hai ye majlis ka sanbhalna lazmi thehra.

Waqt E Judai (Urdu)
Sunday, September 18, 2016
Topic(s) of this poem: farewell,graduation,teacher
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Recited at the farewell party of m.a. education.
COMMENTS OF THE POEM
Ehsan Ehsan 08 March 2018

wah kia baat hey janab Jazib kamalvi sahib, khubsurat

1 0 Reply
Jazib Kamalvi 08 March 2018

Bahut shukria Ehsan gi.

0 1
Zulfqar Haji 11 January 2021

Bahut khoobsoorat ghazal kahi hai Jazib Kamalvi. Main kai martba apne doston ko bichhate waqt ye nazm suna chuka hun. Yaqeen karen har bar naya lutf ata hai. Bahut shukria itni achhi shairi share karne ka.

1 0 Reply
Naeem Bukhari 09 January 2021

Great poetry indeed, Jazib Kamalvi! Very emotional. Thanks.

0 0 Reply
Malik Sarwar 31 January 2020

Write comment. Ap ki ye nazm mujhe mera mazi yad dilati he. Thanks for sharing it here.

1 0 Reply
Jazib Kamalvi 09 February 2020

buhat shukria malik sahib purani muhabbaten yad dilane ka.

0 0
Waleed 15 April 2019

Kitni pur asar ghazal hai. Wah wah wah. Bahut shukria.

2 0 Reply
Jazib Kamalvi 22 April 2019

Thank you so much, Waleed.

0 0
Me Poet Yeps Poet 28 November 2018

aap kee urdu poetry itni lazmi hai hummein uskoe padna lazmi tehra eh dost chand roz kee dosti hai uskay baad khuda hafiz kehna hee lazmee hoga par tub taluk aansoon na bahana wahee lazbhi hai abhhee chand ek roz aour thehar jao uskay baaad dillse nikalna khair lazmehe hoga TUBH talukh eh dost gaelley milna toe lazmee hoga

2 0 Reply
Jazib Kamalvi 28 November 2018

Khush gawar herat k sath aap ka shukria ada karta hun.

1 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success