Waqt Kalaakar Hai.. Poem by abhilasha bhatt

Waqt Kalaakar Hai..

Rating: 4.0

Jo aaj naya hai
Kal purana hojaega
Kyunki jo aaj puraana hai
Wo kal naya tha
Naye se puraane tak ka safar ek din aur raat tak ka hi to hota hai
Naye puraane k safar main waqt ek ahem bhoomika bhandhta hai
Aur nibhaata hai
Magar naye puraane ka khel waqt ki samajh se kahin had tak pare hai
Kyunki waqt ko kbhi shayad khud bhi asmajas main pad jaata hoga
Aur ye sawaal khudse karta hoga
Ki main Naya hoon ya Puraana
Agar zyada gehrai main na jaakar
Seedhe saral tarah se aanklan karen
To waqt to teen awasthaaon ki bhoomika nibhata hai
Kal Aaj aur Kal….
Jaane waqt kaise ye teeno bhoomika itni bakhubi bina kisi retake k nibhaleta hai
Kal jo hua tha
Wo kabhi aaj hua tha
Aur kabhi kal hone waala tha
Magar aaj jo hua
Wo ab kal ho chuka
Aur jo kal hone waala hai
Wo ab aaj hoga
Aur jo abtak nhi hua
Wo kal ek din zaroor hoga
In teen awasthaon main kitni hi ghatnayen ghatit hoti hain
Aur har ghatna ek dusre par nibhar rehti hain
Maine kal jo kia tha
Jo kabhi aaj tha
Uspar aaj k din ki hone wali ghatna nirbhar hai
Aur aaj jo hoga uspar anewala kal kaise ghatit hoga nirbhar hai
Cinema k mahaan abhinetaon se bhi umdaa ya yun kain zindagi k har kalaakar se umdaa kalaakar waqt hai
Suna tha,
Maana bhi,
Aur jaana bhi,
Ki
Waqt mushkil hai
Waqt aacha hai
Waqt bura hai
Waqt hanseen hai
Waqt tez hai
Waqt sabse bada marham hai
Magar
Waqt ek behtreen umdaa kalaakar hai
Ye aaj socha aur jaana..

Thursday, January 14, 2016
Topic(s) of this poem: time
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 14 January 2016

Wonderful poem....as usual. To waqt to teen awasthaaon ki bhoomika nibhata hai Kal Aaj aur Kal…. Jaane waqt kaise ye teeno bhoomika itni bakhubi bina kisi retake k nibhaleta hai Kal jo hua tha

0 0 Reply
T Rajan Evol 14 January 2016

Wah wah waqt ki kya baat hai..hai na! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success