Woh..........[maaaaaaa] Poem by shraddha shraddha the poetess

Woh..........[maaaaaaa]

Rating: 0.5


apne aanchal ki chhaaon mei hr dukh se chhupa le woh....
ek dua dede agar to kaam sare poore hon...
adrishya hai bhagwaan aisa kehte hain jo..
kahin na kahin ek satya se aparichit hote hain woh..
khud rokar bhi humein hasati hai woh...
hr saleeka humein sikhaati hai woh.......
pareshaani chahe jitni ho,, humare liye muskurati hai woh..
humari khushiyon ki khatir hr gam ko gale lagati hai woh...
humnibhayein na nibhayein apna hr farz nibhati hai woh..
humne dekha jo sapna sach usey banati hai woh...
dukh ke badal jo chhaye humpar to dhoop si khil jati hai woh..
zindagi ki hr race ei humara hosla badati hai woh.
humari ankhon se pad leti hai har takleef or use mitati hai woh..
par apni takleef nahi jatati hai woh..
shayad tabhi bhagwaan se ooper mani jati hai woh..
itna kuchh kr ke bhi,,
tyaaag ki moorat nahi maa kehlati hai woh........


shraddha.........

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
i want to dedicate this poetry to my maaaaaaa.........and to all moms.........as they r actual and real god in this universe..........
COMMENTS OF THE POEM
Neela Nath Das 02 February 2014

tyaaag ki moorat nahi maa kehlati hai woh........Great line.Loved very much.

0 1 Reply
Gajanan Mishra 29 January 2014

humne dekha jop sapna sach use banati he woo, wonderful maa. thanks.

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 28 January 2014

Maa ke liye kitne bhi shabdhon me likhe bahuth kam hothe hain woh mamta ki koyi keemat nahin hothi hai vastav mein maa mamta ki murat hoti hai.....Wonderful poem Shraddha..Your poem is flowing beautifully..Loved it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success