Yehi Ilteja Yehi Aarzoo! Poem by Aarzoo Mehek

Yehi Ilteja Yehi Aarzoo!

Rating: 5.0


Mujhe dee hai too ne yeh zindagee
Mujhe too ne dee hai harik khushee

Tere zikr se ho zaban tar
Yehi zikr bus ho zaban per

Tira ishq wajHe suroor hai
Tira zikr baayise noor hai

Ke koiee na tujh sa Kareem hai
Bhala kaun aisa Raheem hai

Mujhe chaahtaoN ka Samar mile
Ke Madine meN koiee ghar mile

Sheh.e Anbia' ki kaneez hooN
Tire Mustafa* ki kaneez hooN

Na mahal na mujhko makan de
Mujhe ai Kareem amaan de

Yehi ilteja yehi Aarzoo
Mire dil meN bus yehi justajoo

Tira rahm ho miree zaat ho
Miri roz-e Hashr nijat ho

© Aarzoo Mehek

Yehi Ilteja Yehi Aarzoo!
Wednesday, January 13, 2016
Topic(s) of this poem: prayer,urdu,hindi,hymn
COMMENTS OF THE POEM
Uzefa Rashida M.a 19 February 2016

Subhanallah! Alfaazon ku khubsurati bakhshi hai aapne... Meri bhi dua par zara aameen kahein Ab meri ilteja meri Aarzoo Mere Rabb mujhe bhi aisa fann e poor de. Aameen.... A talent par excellence is what u possess dear Aarzoo.

1 0 Reply
Abhilasha Bhatt 15 January 2016

Ho puri mukammal wo aarzoo Jiski tum khuda se dua karo....loved it...thanx for sharing

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 14 January 2016

Yehi Aarzoo! Thanks for sharing this poem with us. In your own language.

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 13 January 2016

Very wise, interesting and expressive hymn shared with nice mind that touches readers. Interesting and nice.10

1 0 Reply
M Asim Nehal 13 January 2016

Wah wah....Kya khoob nazm hai.....Dua se labrez....10++++

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 13 January 2016

Shukriya Asim..Allaah tumhe salamat rakhe.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success