Zindagee Poem by Tasadduq Hussain

Zindagee

Her naYaa SaaL naYee aaS leYai aata Haiy
Yaad-e-Maazee Ko maGar Kown Bhulaa Pataa haiy.

Zindagee Lamha-ba-Lamha tow guzar jaati Haiy
Saal-ha saal Kaa Ik bowjh Saa Reh Jaata Haiy
Her haseeN Yaad Tasawwer Kee panaah gahooN maiN
Bar-haa aakaiy Sar-e-no say jaga Jaati Haiy
Zindagee khawab Haiy, khawab kee tabeer bhee Haiy
HusnaiN Qudrat kaiy nazzarooN kee Tasweer bhee Haiy

Zindagee naaM haiy ummeed kaa aasha-ooN kaa
Azm-e paiham saiy in-haiN dhooNd-naiN pa-janaiN kaa,
Yaas-o-Ummeed Kaiy Is behr-e-Talatum main Ejaz
Jurrat-e-Shauq saiy us paar uter jaan-e Kaa.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
New year & Life...a perspective.In Urdu language.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success