Agar Tum Na Milte Poem by Bano Ali

Agar Tum Na Milte

Rating: 5.0

Main aksar sochti hoon zindigi jo sath guzri hay,
Agar tanha guzarti to main kabki mar gaee hoti,
Tumhare peyar ne mujhko umangen dee hayn jeene ki,
Wagarna main to murjha kar bikhar jati zamane mein.

Main aksar sochti hoon phool to do din ko khilte hayn,
Yeh jadoo bhi tumhara hay main abbhi rang o khushboo hoon,
Tumhari chahaton mein jane yeh kaisi hararat hay,
Tumhare ek ishare par shama ban kar pighalti hoon.

Main aksar sochti hoon tum na milte gar to keya hota,
Na jane tum kahan hote na jane main kahan hoti,
Mujhe jab yad aate tum to aansoo ban kea ate tum,
Na jane tumko meri yad aati ya nahin aati.

Kisi mehfil mein jab milte to tumko dekhti rahti,
Mujhe sab dhoondhte rahte main tumko sochti rahti,
Aur aise mein achanak tum mere nazdeek jab aate,
Na jane tumse keya kahti main kah pati ya chup rahti.

Chalo acha hua apni kahani tarbiah nikli,
Agar ye almiah hoti na jane phir main keya karti,
Tasawar ghair ka mere liye to ek qyamat hay,
Tumhare sath koi aur hota gar to Keya karti!

Monday, December 8, 2014
Topic(s) of this poem: thinking
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 08 December 2014

A beautiful poem.....................10

0 0 Reply
Akhtar Jawad 08 December 2014

A beautiful poem.....................10

0 0 Reply
Salini Nair 18 December 2014

madam i really like your poems...a feel of hearing gazals....

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 20 November 2018

Chalo acha hua apni kahani tarbiah nikli, Agar ye almiah hoti na jane phir main keya karti, Tasawar ghair ka mere liye to ek qyamat hay, Tumhare sath koi aur hota gar to Keya karti! .......touching and impressive expression. A beautiful poem nicely executed. My pleasure reading it time and again.

0 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Wow so well written............Loved it. Tasawar ghair ka mere liye to ek qyamat hay, Tumhare saath koi aur hota gar to Kya karti!

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 05 March 2015

A beautiful poem. Nicely envisioned. Many thanks dear madam keep on writing.

0 0 Reply
V P Mahur 28 December 2014

Dear poet, Lovely poem this one. Thanks for your comments on my poem.

0 0 Reply
Yasmin Khan 24 December 2014

Ihsasat se bharpoor ek khoobsoort tehreer... dil ki gehraeon se likhi gyee hey iss lye dil ko chooti hy. Waqee mohabbat ke bagher jeena mr jane ke mutradif hy. bht acha laga aapki tehreeren parh kr

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success