Dil Men Bus Thoda Sa Allah Ka Dar Paida Kar! Poem by Aarzoo Mehek

Dil Men Bus Thoda Sa Allah Ka Dar Paida Kar!

Rating: 5.0


jo bulandee tujhe baKhshe woh hunar paida kar
' jo kisee dar pe nah jhukta ho woh sar paidaa kar '

buGhz.o.keena ki kahiN jismeN na ho gunjaaiish
woh moHabbat se mahakta huuwa ghar paida kar

Hum nafas ishq ki raahoN pe agar chalna hai
tu gham-e ishq ko sahne ka hunar paida kar

Khuwahish-e jurm se mil jayegee pal bhar men nijaat
Dil meN bus thoda sa Allah ka Dar paida kar

Dost to dost haiN dushman bhi kareN tujhse pyar
Aisa dil aisa jigar aisee nazar paida kar

sub ke gham le ke Khushee apni jahaN ko de dey
Sub tujhe apna kaheN aisa hunar paida kar

'Arzoo' jaisee bhi ho teri hi bundee hai Kareem
Ab tou uskee bhi duaoN meN aSar paida kar

© Aarzoo Mehek

Dil Men Bus Thoda Sa Allah Ka Dar Paida Kar!
Sunday, February 28, 2016
Topic(s) of this poem: self discovery,self reflection
COMMENTS OF THE POEM
Edward Kofi Louis 28 February 2016

Strong faith! With hope ahead. Nice piece of work.

1 0 Reply
Akhtar Jawad 29 February 2016

An amazing divine ghazal, liked it so much.

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 01 March 2016

hey mam........ it is a prayer as rightly difined by babajaan........ liked itt mam ji.....grrrrttt khudh ko haar aur jeet sey juda rakhna.......... mehanat karna, imaan sey, aur dil mein khudha rakhana.....

1 0 Reply
Dr Dillip K Swain 17 January 2022

Dost to dost haiN dushman bhi kareN tujhse pyar Aisa dil aisa jigar aisee nazar paida kar.....wonderful expression. Liked it so much....5 stars.

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 14 August 2016

Khuwahish-e jurm se mil jayegee pal bhar men nijaat Dil meN bus thoda sa Allah ka Dar paida kar Dost to dost haiN dushman bhi kareN tujhse pyar Aisa dil aisa jigar aisee nazar paida kar.... bahuth khoob....hai jo aashiq dil e mashooq me ghar paida kar...isee khayalath apne aur vasee mane me izhar e khayal kia hai...

0 0 Reply
M Asim Nehal 02 March 2016

Dost to dost haiN dushman bhi kareN tujhse pyar Aisa dil aisa jigar aisee nazar paida kar Wah wah kya baat hai..............Aaj hum apni dua'a on ka asar dekhenge.......10+++++

2 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 01 March 2016

Behtareen Bol. Kitnee martaba bhi padhuN... ek nayii roshni nazar aati hai. bahut khoom.. masha Allah

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 01 March 2016

Masha Allah! Aapki nazm ki saari tadap aur alfaaz k bol poori poori tarha tasveer me jhalak rahi hai. 'Arzoo' jaisee bhi ho teri hi bundee hai Kareem Ab tou uskee bhi duaoN meN aSar paida kar

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success