Ehasaas Poem by Shrini Deewana

Ehasaas



Aaj tune mujhe yeh ehasaas dilaya ke gaair to aakhir gaair hi hai,
Tere apne wohi hote hai jo saath tere sada rehate hai,
Tujhse mein bahut door hoon to apna hokar bhi hoon begaana,
Bina is baat ko samjhe ab tak bahut kuch keha chukka hoon Deewana.

Chahe dil mein ho mohabbat kitni bhi yeh dooriyan nahin mit paayegi,
Dono dilon ke pyaar bhi kabhi is doori ko nahin mita paayegi,
Aaj tumne mujhe yeh samjha di ke mein door desh ka rehane waala hoon,
Karta hoon mein mohabbat tumse to kya mein to bas ek Deewana hoon.

Har pal tumahare yaadon mein wohi rahenge jo saath tumahare rehate hai,
Jinke saath rehakar hi tumahare jeevan ke din guzarte hai,
Mein to musaafir bankar ai jaanam tere jeevan mein aaya,
Itna pyaar mein kar baitha ke doori bhi mein na samajh paaya.

Aaj mein yeh jaan chukka hoon ke mein tera apna hokar bhi gaair hi hoon,
Humsafar bankar hum chal rahe hai to kya mein to ek musafir hi hoon,
Saath tere mein sada rahoonga chahe kuch bhi jo jaaye jeevan mein,
Gair hoon mein to kya hua phir bhi mein teri mohabbat hi hoon.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success