Ek Safar Bin Humsafar..... Poem by KAVITA SINGH

Ek Safar Bin Humsafar.....

Rating: 4.5

Chali hun akeli main, lamba h safar..
Na sangi, na sathi, na Koi humsafar.......
Phoolon si komal hun, hawaon si nirmal...
Chal padi hun Apni dhun me.....
Ek safar mera, bin humsafar....

Tuti hun Dali se, sukhe Patton ki tarah...
Na Jane kha le jayengi, ye hawaon ki lahar...
Rahe to suni h, sannata h har taraf....
Dil me ek arman h, mil jaye mujhe Apni dagar..sahar
Chal padi hun Apni dhun me...
Ek safar mera bin humsafar....

Mausam ki tarah badalte h yaha log,
Aaj milte h, kl tanha chord jate h log
Kisse sikwa kare, kisse kare bair.....
Apna yaha Koi nhi sab h gair....
Jane kha le jayega ye Zindagi ka safa
Chal padi hun Apni dhun me...
Ek safar mera bin humsafar....

Sunday, July 10, 2016
Topic(s) of this poem: loneliness
COMMENTS OF THE POEM
Savita Tyagi 22 January 2017

Lovely poem. Just read the translation of it at Krishnan's page had to look up the original. Glad I did.

3 0 Reply
Kavita Singh 06 February 2017

THANK YOU Savita mam... thankx for appreciation

0 0
Abduhoo Salamath 25 August 2016

hai...bahuth likhtee ho..aur padhney me mazza bhi aata hai...khoob likho...bright future hai aap ka.

2 0 Reply
Ajay Kumar Adarsh 24 August 2016

bahut hi badhiya rachna hai............10.

2 0 Reply
Close
Error Success