Halke Halke Se Poem by ANJALI KAKATI

Halke Halke Se

Ye hume halke halke se
Kya hone laga hai?
Kora kagaz humara
Rangoo se bharne laga hai,
Ya humari nazre hi rangeen ho chali hai?

Hum badal rahe hai,
Ya aaina badal gaya hai,
Kuch din huai
Bada raas aane laga hai.

Dekhte hai, nayano me
Kajal khoob bhane laga hai,
Ye humare nayan badal gaye hai
Ya phir kajal hi badal chala hai.

Tum sang,
Choori ke chand lamho mei
Jee lete hai aapni,
Aarso ki jindagi,
Ye lamhe jindagi ban chale hai,
Ya jindagi lamho mei simat chalee hai.

Tum me hum me hai janmoo ka phasla
Tum parayee,
Hum ek doosri duniya me base basayee.
Ye kya hone laga hai?
Janmoo ka phasla kam ho raha hai,
Ya, tamam janm ise janam me mil gaya hai.

Tum parayee hokar bhi,
Aapne se lag rahe ho.
Ye parayee aapne ho gaye hai,
Ya hum khud se parayee ho chale hai.

Ye hume halke halke se
Kya hoone laga hai…..?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success