Hamara Haal Kaisa Hai Tumhara Dil Samajhta Hai Poem by Ahatisham Alam

Hamara Haal Kaisa Hai Tumhara Dil Samajhta Hai

Hamara haal kaisa hai tumhara dil samajhta hai

Hame tumse hi chaahat hai, tumhe hamse hi chaahat hai
Mai tumse door tanha hu, tumhare paas raahat hai.
Yakeen hai dil ko ye mere, hmhi se pyar karti ho
Magar fir bhi itna kyon, jahaan walo se darti ho
Yahaan armaano ki lahre hain
Lage jinpar ye pahre hain
Magar maujon ki bechaini na sagar smjhta hai na saahil samjhta hai
Hamara haal kaisa hai, tumhara dil samjhta hai



Mai tera ho nahi sakta, tum meri ho nahi saktin
Magar dil se teri yaaden, kabhi bhi kho nahi saktin.
Inhi yadon me jeena hai, inhi yado me marna hai
Teri palkon pe rahna hai, nahi kuch aur karna hai.
Ajab manzr hai is gham ka
Ajab alam hai 'Alam' ka
Jise tanhaai kahta hai, use mahfil samjhta hai.
Hamaara haal kaisa hai, tumhara dil samjhta hai.

Sunday, May 3, 2015
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success