Hari-Bhari Poem by mihika singh

Hari-Bhari

Hari-bhari vo dharti pyaari
Jis pe sajti hai mhi saari
Jhum-jhum kar gayeinge
Patte-patte saare lahareinge
Jab khushi se baadal barsein
Tab josh bharke baadal kadkein
Amber bnaa khushi ki chaadar
Dharani bni jeevan ki bhudhar
Chandra dhekho nisha mein muskayein
Surya ki roshani se jeevan bharjayein
Teem –teem taare hamesha chamkein
Jal mein jeev – jantu sab panpein
Urmi nila rang laharein
Ratnakar maatti se mil surabhi anubhav karein
Usha mein hem shobha badhayein
Chandini shitaltaa ka path padhayein
Sunder kitanein phuul pyaare aur nishklush
Laal peelein hem gulabi saachi mein kitanein hai aklush
Suman saraswati chran padh kya shukh paaye
Uski mahak tab kush ho jab vo yaanhaa jeevan mahakaaye

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success