Himmat Na Haar (Hindi) Poem by mahender Talwara

Himmat Na Haar (Hindi)



Garibi ke plon me
Majburi to kher aati hi hai,
Par kai baar na jane kyon?
Aadmi ki soch hi
Yunhi gabhra jati hai,
Tab kuchh labj bas
Wo juban se kah pati hai,
Himmat hi fir krke himmat
Usko jga pati hai,
Tute hue chhando ko jod
Nayi kavita bnati hai,
Wo hanske dikhati hai.
Ispe bhi jab wo
Tanik sambal pata hai,
Apne ko fir se
Beete yug me batkata hai,
Yaad karke wohi ghatna
Uspe shok manata hai,
To fir himmat hi usko
Aakr dheer bandhati hai,
Shok me bhi ashok ke
Geet-gakar sunati hai,
Wo hanske dikhati hai.

Monday, October 31, 2016
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
mahender Talwara

mahender Talwara

talwara khurd, teh. Ellenabad
Close
Error Success