Hogi Pyaar Ki Jeet Poem by Shrini Deewana

Hogi Pyaar Ki Jeet

Nahin mohabbat ki raha aasan magar kabhi darna nahin tu mere yaar,
Rukavatein to aayegi rahon mein magar kabhi rukhna nahin tu mere yaar,
Dil mein hamesha tu rakhna yeh hausla ke mit jaayega dono ke beech jo hai faasla,
Mil jaayegi manzil tujhe aur mohabbat hogi baahon mein,
Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki.

Chahe kuch bhi kahe zamana tujhe zamane se tu darna nahin kabhi,
Hoti hai hamesha jeet pyaar ki yeh baat bhulna nahin kabhi,
Dil mein tere hai jo pyaar ki tadap us tadap ko kabhi mitne na do,
Yeh tadap hi tujhe le jaayegi apne mohabbat ke manzil ki oor,
Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki.

Chahe sanam door ho ya paas ho mohabbat kabhi mit thi nahin,
Mohabbat woh chiraag hai jis chiraag mein itni aag hai,
Jala degi woh saare duniya ko jo aayenge beech raahon mein,
Aur raha tujhe dikhayegi aur tere manzil tak tujhe le jaayegi,
Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki.

SHRINI “DEEWANA”

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success