Jab Tum Nahin Rahoge Sang Mere Poem by Shrini Deewana

Jab Tum Nahin Rahoge Sang Mere



Ek din maine dekha jalti jwaala mere khwaab mein,
Jab gaur se dekha to paya tere chintan chitha jal rahi thi us aag mein,
Hai yeh kya ho gayi soch kar tham gayee mere saansein raaha mein,
Phir ek kadam bhi mein chal nahin paya aur dher hua mein raha mein.

Jab beeti baaton ko yaad kiya tab mujhe yaad aayee woh baat bhi,
Apne hi kandhon par tujhe uthakar tujhe pahunchaya maine ghat mein,
Tere is aakhiri safar mein tujhe sajaya tha maine apne haathon se,
Apne haathon se jaanam aaj maine mehandi rachyee tere haathon mein.

Bade pyaar se maine tera shringaar kiya par tu yeh samajh nahin payee,
Maine pehanayee tujhko kangan aur mathe par bindi jo maine layee thi,
Phir jab maine tujhko dekha mujhe laga tera shringaar adhura hai,
Lekar phir chutki bhar sindhoor tere maang maine sajaa diya.

Meri dulhan saj chuki thi apne antim safar ke liye,
Doli mein laana tha jisko uski arthi aaj utha raha hoon mein,
Agni kund jalana tha jiske liye aaj uski arthi jala raha hoon mein,
Saat phere nahin liye to kya woh bhi to hai dulhan meri.

Saarey rishtey ghat se chale gaye par mujhe na chaha thi jaane ki,
Bas baith gaya mein jwaale ke aage na jaane kab tak baitha raha,
Tab kisi ki awaaz mere kaanon mein goonj padi,
“Dekho pyaar isko kehate hai apne deewani ke chitha ke saamne baithkar chala gaya Deewana bhi”.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success