Jindagi - Ek Paheli Poem by ramesh rai

Jindagi - Ek Paheli

Rating: 5.0

Aie Jindagi!
tum kaun si paheli ho
jise main ab tak suljha n paya

Main phool bankar
sabhi ko subhashit karna chahata
phir kyoun sabhi mujhse
khafa khafa se najar aate hain

Main mukta hawaon mein vicharan
karna chahata
phir kyoun main kisi ke
dil ke darwaze mein band pata hoon

Jab main vairagya geet likhta hoon
phir prem geet kyoun ban jata hai

Main bhautikvad mein lipt ho jana chahata
to phir kyon adhyatma ki auor khinche
chala jata

Aie Jindagi!
Maine abtak
tumhari har baate mani

Maine apni priyatama ko
bharpur pyar dena chaha
phir takrar kyon najar aata
ya phir yehi vastavik pyar hai

Maine to jivan ke har mor par
samjhauta hi kiya

Aie Jindagi!

Jab main tumhe muththi mein band karna chaha
phir ret ki tarah kyon nikal jata

Main tumhare pichhe bhagate bhagate
hanf gaya hoon
Thoda vishram to kar lene do
ya phir yeh bhi manzoor nahi

to phir chalo kitni door chalna hai
Main jeetu ya n jeetu
lekin haar mananewala bhi nahi hoon.

COMMENTS OF THE POEM
Sonali Ganguly 22 March 2020

Life is a beautiful but unsolved riddle

0 0 Reply
Savita Tyagi 11 October 2014

Very nice poem. Rest and go rest and go is what life demands. Thanks for sharing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success