Kbhi Haar Na Maan Na.. Poem by abhilasha bhatt

Kbhi Haar Na Maan Na..

Rating: 5.0

Chahe kitni bhi ho mushkilain
Tum kbhi haar na maan na
Khud par bharosa rakhna
Kbhi tum himmat na haarna
Ye jeevan hai maana mushkil
Nhi aasaan dagar hai
Magar khud par jo ho yakeen
To paar kar sakte hum har bhanwar hain
Zindagi ki raah main toofan bahut aate hain
Magar har toofan se takrakar hi manzil milti hai
Dar kar har raasta aur kathin hojata hai
Darne se zindagi ka har raasta bojhal hojata hai
Saamna karne se har mushkil safar aasaan banjata hai
Umeed zindagi ka dia ek khubsurat tohfa hai
Jo hath iska thaamo to raahi manzil to ek din zaroor pahunch jaata hai..

Saturday, January 9, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 29 January 2016

Life is a journey in that hope and dreams to arrive at a beautiful destination act as lights in the dark but life is a train that moves blindly on the rails, lights we have are just to apply the brakes when and where we should stop for a while. A great poem.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success