Keh Maahtab Nahin Rashk-E Maahtaab Hai Tu! Poem by Aarzoo Mehek

Keh Maahtab Nahin Rashk-E Maahtaab Hai Tu!

Rating: 5.0

Miree nazar ka mire dil ka intekhab hai tu
Jawab tera nahiN hai ke lajawab hai tu

Jo tujhko chaaNd sa kahte haiN nasamajh haiN bahut
Keh maahtab nahiN rashk-e maahtaab hai tu

Woh jisko maiN ne sada jaagte meN dekha hai
Tujhe Khabar hai ik aisa Haseen Khuwaab hai tu?

Nazar se meree kabhi ek baar Khud ko dekh
Yeh baat tu bhi kahega ke lajawab hai tu

Koyee na jeete nah haare yehee hai ishq ka khel
Na kamyab hooN maiN aur na kaamyaab hai tu

Yehee tou rishta hai ai dost tujh meN aur mujh meN
Keh maiN hooN tishna labee aur sard aab hai tu

Tamam umr jise chup ke Aarzoo ne paRha
Kitab-e ishq ka aisa Haseen baab hai tu


© Aarzoo Mehek

Keh Maahtab Nahin Rashk-E Maahtaab Hai Tu!
Friday, January 29, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,love and dreams,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 29 January 2016

Bahut hi khoobsoorat ghazal, lajawab hay yeh.

1 0 Reply
Dr Dillip K Swain 18 December 2022

A wonderful write dear poetess Aarzoo! Appreciated this Hindi/Urdu poem. Top score.

0 0 Reply
Edward Kofi Louis 06 February 2016

The beauty of this woman who is in pain. jise chup ke Aarzoo! Nice work.

0 0 Reply
Savita Tyagi 04 February 2016

Lovely Gazal. My vacabulary of Urdu is not very good and I didn't understand the line 12th but still enjoyed the whole Gazal. Thanks for sharing.

0 0 Reply
M Asim Nehal 19 February 2016

Tishna labi : thirst / Pyas sard aab: Cold water Thanda paani

0 0
M Asim Nehal 01 February 2016

Outstanding, Amazing, Fantastic and I may fall short of adjectives to describe the beauty of this Ghazal...... Likhne Wale ne toh likh diya ek ghazal lafzooN se Asar kya hua is dil pe Na janu mai na jaane tu.......My pick from your Nazm is: : Yehee tou rishta hai ai dost tujh meN aur mujh meN Keh maiN hooN tishna labee aur sard aab hai tu

3 1 Reply
Abhilasha Bhatt 29 January 2016

Bahut khobsoorat ghazal hai....loved it...thank you for sharing :) Tu dil ka mere hissa nhi Tu dil hai mera Tu zindagi ka hissa nhi mere Tu zindagi hai mera....

2 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success