Kon De Ga - Ghazal | Paaris Sohail Poem by Paaris Sohail

Kon De Ga - Ghazal | Paaris Sohail

Rating: 4.5

Karb Mein Guzre Lamhat Ka Hisab Kon De Ga?
Mere Beronaq Chehre Ko Taab Ko Kon De Ga?

Younh Jo Meri Naao Dabo K Chale Ho Tum
Batlao Jeene Ko Saanse Zer E Aab Kon De Ga?

Kar To Chale Ho Hijar Ki Kothri Mein Band Mujh Ko
Bahir Jo Nikalna Chahun To Baab Kon De Ga?

Ab Tak Jo Tu Ne Zulm Dhaae Hain Mujh Par
Zara Socho! Roz E Mehshar Un Ka Jaab Kon De Ga?

Kinara Jo Kabhi Kar Gayin Tum Aye Dur'r E Nasufta
Mujhe Dareen Surat Apni Tashaab Kon De Ga?

Hoon Tishna E Mohabbat, Karta Hoon Tashad'dud Khud Par
Logo! Majnu Ka Paaris Ko Khatab Kon De Ga?

Kon De Ga - Ghazal | Paaris Sohail
Sunday, March 11, 2018
Topic(s) of this poem: sad
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 11 March 2018

Bahut khoob ghazal hai, Paaris. You may like to read my poem, Love And Iust. Thank you.

2 0 Reply
Paaris Sohail

Paaris Sohail

Pakistan
Close
Error Success