Dekhta Hoon (Raat Bhar Khuwab Bohat Ajeeb Dekhta Hoon)- Ghazal | Paaris Sohail Poem by Paaris Sohail

Dekhta Hoon (Raat Bhar Khuwab Bohat Ajeeb Dekhta Hoon)- Ghazal | Paaris Sohail

Raat Har Khuwab Bohat Ajeeb Dekhta Hoon
Mera Naseeb K Tujhko Qareeb Dekhta Hoon

Mujhko Chhor Beech Bhanwar Pardes Jaane Waale
Bin Tere Khud Ko Behad Gareeb Dekhta Hoon

Barhaaye Hain Tu Ne Jo Logon Se Meil O Marasam
Har Doosre Shakhs Ko Apna Raqeeb Dekhta Hoon

Taskheer Kar Rakha Hai Jo Chaah Ne Mujhko
Pagal Ho Gaya Hoon Khud Ko Shareef Dekhta Hoon

Badla Hai Jo Younh Sanam Ne Andaaz E Bayaan
Soya Huwa Main Apna Naseeb Dekhta Hoon

Jab Se Khola Hai Raaz Apni Ulfat Ka Paaris
Zamane Ko Khuwamkha Apna Hareef Dekhta Hoon

Dekhta Hoon (Raat Bhar Khuwab Bohat Ajeeb Dekhta Hoon)- Ghazal | Paaris Sohail
Sunday, March 11, 2018
Topic(s) of this poem: sad
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 11 March 2018

Khoobsoorat aor mutasirkun kalam...

1 0 Reply
Akhtar Jawad 11 March 2018

Khoobsoorat aor mutasirkun kalam...............

1 0 Reply
Paaris Sohail

Paaris Sohail

Pakistan
Close
Error Success