Mahatama Gandhi - Bapu (In Hindi) Poem by rishabh sethia

Mahatama Gandhi - Bapu (In Hindi)

Ankhon pe chasma, Haath mai lathi aur chehre pe muskaan,
Dil mai tha unke Hindustan..

Ahinsa unka hathyar tha,
Angrezo pe bhaari jiska vaar tha..

Jaat-paat, gora-kala ko bhula ke vo jeena sikhate thee,
Isliye Mahatama khelate thee...

Sadaa ho jivan aur Ache ho vichaar,
Bado ko do izzat aur chhoto ko pyaar...
Bapu yehi sabko batate thee,
Logon ke mann se andhkar mitate thee..

Sawchata pe vo dete thee jor,
Maa bharti se judi thi unki dil ki dor..
Aise sakshyat ko hum kabhi bhul na payenge...
Unke vicharo ko apnaynge..

Mahatma Gandhi tumhe humara pranam hai,
Bharat mata ke beto mai sabse upar apkaa naam hai...

Friday, October 2, 2015
Topic(s) of this poem: god,indian,indians,legend,legends,people,poem,social
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success