Mein Nahin Banaoonga Taj Mahal Poem by Shrini Deewana

Mein Nahin Banaoonga Taj Mahal

Yeh woh muskaan hai jo bhaga thi hai thakavat meri,
Yeh woh muskaan hai jo laati hai jaan mere jeevan mein,
Tere ek muskaan pe kuch bhi hum luta denge,
Tu haan keha de to tujhe baahon mein apne bhar lenge.

Mein to pagal hoon deewana hoon mohabbat mein teri,
Tere pyaar ke khaatir sanam hum kuch bhi kar denge,
Log kehate hai ko woh banayenge mohabbat ke liye taj mahal,
Lekin hum tumse aisa koi wada nahin kar denge.

Taj to bani thi mumtaz ke baad uske yaadon mein,
Hum to tere sang hi jiyenge aur tere sang hi mar jaayenge,
Reha nahin sakte sanam tere bina hum ek pal ke liye,
Mere har saanson mein bas tere hi naam sunayee deti hai.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success