Mere Zindagi Poem by abhilasha bhatt

Mere Zindagi



Wo bikhre hue zameen par patte..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo darare padi diwaron par..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo darwaza khokhlon se bhara hua..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo kitabain jinko deemak kat ti..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo akhbar k dher kabad main..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo sukhe phool bejan se..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo talkhiyan in bataon ki..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo raatain kat ti..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo shamain dum todti..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo registan biyaban sa..
Mere zindagi k jaise hain..
Wo lehrain takrati hui patharon par..
Mere zindagi k jaise hain..
Mere zindagi k maksad bezuban jaise hain..
Aise hi hain jaise bhi hain bas rang zindagi k mere aise hi hain...

Monday, November 30, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success