Mutmayeen Hoon.. Poem by abhilasha bhatt

Mutmayeen Hoon..

Rating: 5.0

Har khusi se
Mutmayeen hoon
Har gham se
Mutmayeen hoon
Har zamaane se
Mutmayeen hoon
Har bahaane se
Mutmayeen hoon
Har fasaane se
Mutmayeen hoon
Khwaabon se
Mutmayeen hoon
Yaadon se
Mutmayeen hoon
Nashtar se
Mutmayeen hoon
Phoolon se
Mutmayeen hoon
Phatharon se
Mutmayeen hoon
Khalish se
Mutmayeen hoon
Zindagi k Kirdaaron se
Mutmayeen hoon
Bandish se
Mutmayeen hoon
Zumbish se
Mutmayeen hoon
Mehfil se
Mutmayeen hoon
Tanhaai se
Mutmayeen hoon
Aankhon ki Nami se
Mutmayeen hoon
Baaton ki kami se
Mutmayeen hoon
Hakaayaton se
Mutmayeen hoon
Shikayaton se
Mutmayeen hoon
Seher se
Mutmayeen hoon
Sheher se
Mutmayeen hoon
Shaamon se
Mutmayeen hoon
Taanon se
Mutmayeen hoon
Harf se
Mutmayeen hoon
Taarif se
Mutmayeen hoon
Tanz se
Mutmayeen hoon
Apni zindagi k har rang se
Mutmayeen hoon
Apni zindagi k har dhang se
Mutmayeen hoon

Friday, January 8, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 08 January 2016

Remaining normal towards happiness and sorrows is very amazing art of life. Who learns this wins the goals. Interesting and wise sharing done definitely.10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success