Dost K Intzaar Main.. Poem by abhilasha bhatt

Dost K Intzaar Main..

Rating: 5.0

Tum mile
Ek dost mila
Tum aye zindagi main
Dosti k maayane mile
Dost kya hai tumse milkar jaana
Dosti kya hai tumko jaan kar jana
Jo kisi se kabhi na kaha
Wo tumse kaha
Jo kisi ko na pata tha
Tumko maloom hua
Kabhi kisi ne mere dil ki baat kehkar bhi nhi suni
Tumne binkahe suna aur samjha bhi
Dil ki baatain jo dil main dafn thi murda thi
Tum mile to ay dost wo murda bhi jee uthe
Maano wo bhi tumhare ane ka intzaar kar rahe they
Magar jaane tum ab Kahan ho
Tumko dhundh raha hoon main kabse
Magar tum ho ki milte hi nhi
Pagalon ki tarah pukarta hoon idhar udhar tumhe main
Log mere haal par hanste hain
Parwah nhi mujhko is baat ki
Parwah to bas tumhari hai mere dost
Jaane Kahan ho kis haal main ho
Thik bhi ho...ya nhi
Beete kain hafton se main tumko
Darbadar bhatakta raha
Magar tum ab tak nhi mile
Kahan ho mere dost tum
Mujhko yun rota chod gye ho
Jaane kaun si jagah gye ho
Ki tum tak meri siskiyon ki sadaa tak nhi pahunchti
Jahan bhi ho aajao dost
Tumhare siwa is jahan main kaun hai aur mera
Tum to meri kaali gheri khamosh raat main ishwar ka bheja savera ho
Meri zindagi ki shaam dhal rahi hai
Zindagi k suraj ka chehra zard sa hai
Khamosh udaasiyon se bhara
Betahaasha ro jaane k bad
Sooji hui aankhen
Dard se bhara laal hota chehra
Kuch yun hi main ho gya hoon
Meri zindagi ki shaam bhi
Aur suraj bhi
Main dhal raha hoon pal pal karte
Tumko andheron main raasta mile
To mere dost hamari dosti k die ki law main
Tumhe raasta milega
Chalte chalte jab pata mera milega
To tum phir se savera bankar aana
Main dhal raha hoon
Savere k intzaar main
Apne dost k intzaar main..

Thursday, January 28, 2016
Topic(s) of this poem: friends,love and friendship,pain
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 28 January 2016

Main dhal raha hoon pal pal karte Tumko andheron main raasta mile To mere dost hamari dosti k die ki law main Tumhe raasta milega............................................................100+++ And it reminded me one of my childhood favourite song: : Diye jalte hain phool khilte hain Badi mushkil se mager duniya mein dost milte hain... दौलत और जवानी, इक दिन खो जाती है सच कहता हूँ सारी दुनिया दुश्मन हो जाती है उमरभर दोस्त लेकिन साथ चलते हैं..........

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 28 January 2016

chale bhii aa.o mire jiite-jii ab itnaa bhii na intizaar ba.Dhaao ki niind aa jaai Mahshar Inayati Sab ko ik aise dost ki zaroorat hoti hai jo humein hum se bhi zyaada jaane aur chaahe. khoobsurat ehsaas. Khuda kare ye intezaar jald khatm hojaai.10

0 0 Reply
Akhtar Jawad 11 February 2016

A great poem on friendship, throughout the poem the reader remains hypnotized in the flowing magic of words and lines, nicely penned.

0 0 Reply
Sd Tiwari 31 January 2016

Great story क्यों न गए थे थम प्यार के वो चार पल जब मिले थे हम

0 0 Reply
Sd Tiwari 31 January 2016

Great love story. क्यों न गए थे थम प्यार के वो चार पल जब मिले थे हम mera ek geet hai

0 0 Reply
Souren Mondal 29 January 2016

'Kabhi kisi ne mere dil ki baat kehkar bhi nhi suni Tumne binkahe suna aur samjha bhi Dil ki baatain jo dil main dafn thi murda thi Tum mile to ay dost wo murda bhi jee uthe' Sachi dosti me hi itni taqat hoti hai ke bin kahe dusre ke dil ki haalat samajh le.. Behtareen kavita Abhilasha.. Bohoot khoobsurat lagi..

0 0 Reply
Mithilesh Yadav 28 January 2016

Zindagi k suraj ka chehra zard sa hai Khamosh udaasiyon se bhara Betahaasha ro jaane k bad Sooji hui aankhen Dard se bhara laal hota chehra Kuch yun hi main ho gya hoon ........ speechless some times........ well penned

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success