Nayee Dishayen Poem by ramesh rai

Nayee Dishayen

Nayee dishayen aamantrit karti
Shokakul santripta jeevan ko
Aamaran jeevan se behtar
Aur kuchh nahi is jag mein

Aakanshayen meet jaati hai
Abhilashayen dub jaati hai

Nitya nayee subah ek
Pravanchana bahegi jeevan mein
Fulla kusumit honge
Jalad nirav shaant nahi hote
Prachand bhumika ke aashay mein
Prishthbhumi rah jaati hai
Asha marti nahi niraasha
jag mein sudhridh ho jaati hai
taratamya nahi rahata jab
jeeevan aur maran mein
sabhi dishayeen meet jaati jab
bas ek naye disha rah jaati hai
Nayee disha banker wah
Mere samane aati hai

COMMENTS OF THE POEM
Sue Ann Simar 25 July 2013

I'm not able to read this poem, but I'm glad to see you writing in your own language.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success