Paygam E Resalaat (Saw) Poem by farhat zaidi

Paygam E Resalaat (Saw)

Paigam mera innko sona do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb

Mola hai teray baad yeah kull momeneen ka
kull hazareen ka bhe hai kull gaaeibeen ka
utha kar ali ka hath dikha do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb


welayat ali ke shart hai janat ke wastay
shouraa karay na koi khelafat ke wastay
yeah hukkm mera inko souna do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb


innko bata do lahmmo ka lahmmi hai yeah ali
yeah bhe kaho kay mislo ka misli hai yeah ali
dekho na bhoulna yeah bata do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb


chayhra ali ka aeen ebadat hai daikhna
kahh do ali ke bugz se na dil ko seykna
jala kar karoun ga rakh bata do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb


outaara setara darr pay ali kay tou jall gae
arrman saray shadi kay metti mai mill gae
mahfeel se appni innko outha do meray habeeb
Chahra ali ka inko dikha do meray habeeb

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success