Safalta Awashya Milegi Poem by Srishti Shrivastava

Safalta Awashya Milegi



Dukh dard bhare is jeevan ki..
andhiyari raat fail gyi..
nisha ke is samrajya me..
jivanshaili simat gyi..
intezaar kar rahe wo apnii
aakhri saason ka...
hatotsahit bojhil aankhien...
karti intezaar apne kafan ka...

par kahan tak uchit lagta ye sapna
kaal-kavlit hone ka..
kya mana hai jindagi me aas
jagana apne uddipt jeevan ka

mana tumhe aaj niraasha haath lgi hai..
par jindagi me aise kayi
kaale baadal chayenge..
tab ranbhumi chod aap
kahan tak jayenge..
prashn pucho ye apne man me..

kidhar likha hai...
safalta milegi jivan k kan-kan me...
kayarta se abhishapt purush...
jagao adamya utsaah apne man me..
kahin na kahin safalta milegi
kadi parishram lagan me..

jindagime mod kayi aayenge
kabhi na kabhi to
safalta ke parcham hum lahrayenge...
ye utsaah sada rakho apne man me
kabhi na kabhi tab safalta
paaoge jivan ke is tarang me.............

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success