Tanha Dil Barasti Aankhein Poem by Shrini Deewana

Tanha Dil Barasti Aankhein

Aankhon mein sada tasveer bankar rehati ho tum,
Dil mein mere sada yaadein bankar rehati ho tum,
Lekin kab tak jiyoonga mein tere yaadon ke sahare,
Aakar de do mujhe tum apne baahon ke sahare.

Na jaane kyon banayee hai aisi milan apni khuda ne,
Jo milkar bhi nahin mil paate hai hum ek duje se,
Dil hai udaas aur akela hoon mein sanam aa jaa,
Aakar sanam mujhe tum apne dil mein basa jaa.

Tanha hai dil aur sanam tanha hoon mein,
Kahin khoyee hai meri aankhein aur rota hoon mein,
Kahin mera aansoon duniye ke nazar mein na aa jaaye,
Isi liye duniya ke nazron se chup chup kar rota hoon mein.

Ab aansoon mere sanam thamthi hi nahin hai,
Mere dil ki siskiyan ab rukhthi hi nahin hai,
Sanam ab is gham se bachne ka raasta tu bata de,
Ya duniya se bachakar mujhe apne daaman mein chupa le.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success