Tham Lo Poem by ANJALI KAKATI

Tham Lo

Tham lo
Vakth ko,
Tumse
Kuch aaur bhi kahna hai.
Vakth ki raftar me
Sahme, simte se
Kuch labz,
Jo hotho pe rah gaye
Dabe dabe se
Unko bhi chahakna hai
Tham lo
Vakth ko


Rok lo
Raho ko
Tum sang
Kuch aaur duur tak jana hai
Rishto ki anban me
Jhllaye, uljhaye se
Kuch kadam
Uuthe hi nahi jo kabhi
Ruke ruke se
Unko bhi thoda chalna hai
Rok lo
Raho ko

Bandh lo
Sanso ko
Kuch dhadkano ko tumhari
Abb bhi jan na hai
Soch ki takrar se
Ghabraye, bahkaye se
Kuch pal
Tham se gaye jo
Unko bhi dhadkna hai
Bandh lo
Sanso ko

Tok do
Palko ko
Tumhari najro me
Abb bhi khud ko
Khojna hai
Dooriyo ke pardo me
Sharmaye bharmaye se
Kuch jahalak
Bevajah hi jukh gaye jo
Uunko bhi uudna hai

Tok do
Palko ko

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success