Tu Kabhi Mera Rona Zaar Zaar Dekh Poem by Mirza Sharafat Hussain Beigh

Tu Kabhi Mera Rona Zaar Zaar Dekh

Tu kabhi mera rona zaar zaar dekh
khanjar ko mere dil ke aar paar dekh

rait ke daney se hasrat paani ki pooch
meri aankhu me basa tera intizaar dekh

har taraf tu apney gul o gulzaar dekh
par dekh mujhe har lehza sogwaar dekh

terey qadmu me rakha hai sar humney
kisi ko mar mitney par tayaar dekh

zara dham bhar ko aazma mujhe qatil
tu aek lamha mera aetibaar dekh

Sharafat tu nikal apney shehar se kabhi
khizan ke badal kahi mosam e bahaar dekh

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: love,love and friendship,separation
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success