Udaasi: 2 Poem by Mirza Sharafat Hussain Beigh

Udaasi: 2

bina waja ke yaar hum qusoorvaar hogaye
bey khata nachaar bhas bey.qaraar hogaye

ye jaanney me hai faqat bas matam e ishq
dekhtey dekhtey unki zulfu ke sogwaar hogaye

hamarey aansu to girtey hai ye dikhtey nahi
sada unhi me ghum kahi mere dildaar hogaye

ye saal e rafta ulfat ke guzrey hi kaisey
rafta rafta is khail ke hum adakaar hogaye

ye batla dijiye ke tarasney ki intiha kya hai
tadap tadap kar dil hamarey koh saar hogaye

tujhe likhu kaisey ke bhula dena ab mujhe
tehreer se pehley hi mere qalam ashkbaar hogaye

chupaana terey rukh se koyi raaz mumkin nahi
tujhe dekhtey bey parda mere asraar hogaye

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: grief ,love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success