Ye Insan Ajab Ho Gya H.. Poem by abhilasha bhatt

Ye Insan Ajab Ho Gya H..

Rating: 5.0

Ye insan bhi ajab ho gya hai
Paison ki dhun main kaha kho gya hai
Na din main chain hai
Na raaton main sukoon hai
Phir kis daud main ye lag gya hai
Jo kbhi rishton ki kadr karta tha
Jane kyun rishton se door ho gya hai
Sheher main akar insan ajeeb ho gya hai
Wo Masoomiyat..
Wo sadapan..
Sheher ki sangat main sab dhul gya hai
Khushiya kama kar hazaron jama to karli..
Magar bantne ko khushi koi ab nhi reh gya hai..
Mana ki wo galiya apne sheher ki tang thi
Magar har dagar main wo hamare sang thi..
Mana is sheher main tang galiyan nhi hai
Magar apne ghr ki wo dagariya nhi hai..
Jahan beeta bachpan
Hain yadain purani
Sang rethti thin dadi nani..
Sunaya karti thi pariyon ki kahani..
Wo batain beeti
Wo ratain beeti
Beeta wo bachpan
Beeti kahani
Boode ho gye wo dadi nani
Nigahain bhoodi…
Takti rehti rasta tera hain
Chl Ab soche kya
Chod ye bojh sab
Nikl pad dagar purani
Jahan beeta tera bachpan…
Ghumete they din raat banke maula harfan… :)

Sunday, November 29, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 11 March 2016

A great thought nicely penned.

1 0 Reply
Souren Mondal 29 November 2015

Bohut khoobsuraat kavita hai Abhilasha.. Sahi kaha hai apne.. Paison aur nayi shehron o khooj mein sab ne kahi pe bohot kuch khooya hai.. Sukhriya..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success