Ye Saali Zindagi........... Poem by raw you all

Ye Saali Zindagi...........

Lamhon ka kya hai unhe to bas gujarna hi aata hai
Kasoor du kisi ko to khud ka hi chehra nazar aata hai
Sheeshe ke jaise hai ye waqt jo sab kuchh dikha deta hai
Waqt ka hi paath hai wo jo sab kuchh sikha deta hai
Life to bas kehne ko hoti hai
Asli zung to seene me hoti hai Khud hi waar karta hai dil
Chot lage to aakhen roti hai Pataa ni sala ye life bhi kya kehna chahti hai
Ek pal hasaa kar doosre pal jee bhar ke rulaati hai
Har waqt bas yehi gungunaati hai
Kaanon me ajeeb si gunj reh jati hai
Lyrics samajh ni aate is life ke
par composing bhut pasand aati hai
Har taraf bas sorrow hi sorrow hota hai
Har baar isi sorrow se hume rula jati hai
Language bhi pata ni java hai ya.NET
Coading hi iski ajeeb hai
Itni jayada user friendly hote hue bhi ye gareeb hai
Koi bhi human ise apne software me fit ni baitha pata
Sab kehte hai bhai iski definition me hi kuchh kamee hai...
Raaton se to ise jaise allergy hai ise
Neendo ke peeche padi hai
Chiain se sone nahin deti
phir bhi kehti hai raat kitni badi hai..
Aankho kee neeche ise kaale daag bade pasand hain
Bina kisi rog ke mareej bane hue dekhna pasand iski hai....
Buraai to bahut hai life ki par abhi waqt nahin hai
Bas isi ki baat chali thi abhi aur ab ye mere saamne aa khadi hai...

Sunday, August 10, 2014
Topic(s) of this poem: life
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
just pathetic
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success