Ghazal...... Poem by Khatab Gulzar

Ghazal......

Shehar ki aag Bani hai musibate Jaan jana
jalne sy isky hota hai nafrat ka ghuman jana

siyasat khoob hui, margaye kuch logh
siyasat ny jalaya mohabat ka astan jana

Khud stai karteh karteh hum kuch nah rahe
Ab toh har koi pakadhta hai gareeban jana

Hum daulat ko apna arooj smjhte hain
Goya duhvein ko maanteh haain asmaan jana

Jab Haain Atish pasand logh is jahan ky
Kyun nah dhondha jaye koi aur jahan jana

Khatab Gulzar✍️

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success