Ghazl 1 (Urdu) Poem by Jahan Zeb

Ghazl 1 (Urdu)



Tum ba zid ho to marasim na nibhaney aana
Meri palko pe na ab khwab sajaney aana
Tum buhut door buhut door gaye ho ay dost
Dard taza na karo, dil na dukhaney aana
Dil main wo zor nahin, soch muntasher si hay
Hm na manyngay hmein ab na mananey ana
Teri gudya, meri bandoq kheloney wali
Apna bachpan na kabhi yad dilaney aana
Haan jo aana hay to aajao magr bas ek baar
Rait k ghar jo banaye they mitaney aana
Ab bhi kuch hosh main hun, chain abhi baqi hay
Tum sanbhaney nahi, ye hosh oraney aana
mere hatho ki lekeero main ek halki si lakeer
Daikh kar tum ne kaha main hun, Mithane aana
Mana mujh ko hay gila, mujh ko shikayat tum se
Main to bus aap ki hun, itna sunaney aana

COMMENTS OF THE POEM
Farah Ilyas 08 April 2013

Teri gudya, meri bandoq kheloney wali Apna bachpan na kabhi yad dilaney aana....great lines...from where u learn to write urdu gazals in such a marvelous ways?

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Jahan Zeb

Jahan Zeb

Malakand Pakistan
Close
Error Success