Interview Of Myself Poem by Sahira Sargam

Interview Of Myself

Muqammal kahani ki adhuri patra hu mai,
sare-aam mulaqakat ki chhipi hath hu mai,
koi kurede mere haqeekat ko to bata dun
kisi haseen tasavvur ki jhanjhavat hu mai.
Bikhar jate hai jo lafzen fizan me unhin
un nazmon ki sufi andaz hu mai
dil ki tabahiyon ke sare tarano ke bich
ek nayi duniya ki dilchasp rag hu mai.
Udas nazron se na dikhe koi nazare
aankhon se gam nikalne ki tarkeeb har bar hu mai

kuchh khamosh mushkil sawalon me
jawabon ki sargoshiyan bharne ki saaj hu mai.
Sare rangeen palon ke meethe
ehsason ka
fir se teekha intzaar hu mai
najdiqiyan jo subah se sooraj ka hai
us mohabbat ka ijhaar hu mai.

Saturday, July 1, 2017
Topic(s) of this poem: interference
COMMENTS OF THE POEM
Chinedu Dike 15 February 2018

I wonder what your introspection is all about. Hope you'll translate in English. The title is very catchy. Remain blessed.

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 09 July 2017

A great poetic fancy. Thanks

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success