Kuch Naya Sa Poem by ANJALI KAKATI

Kuch Naya Sa

Pee ke ladkhadana
aur ladkhada ke sambhal jana to saaki
Purani aadat thi,
Youn bin piye ladkhadana
aur ladkhadayee he jaana
yeh,
nayee bala hai.

Chot khakar dard me tadpna
aur tadap kar roo jana
to theek tha,
youn bina chot dard me chatpatana
aur chatpatahat mei chein pana,
yeh,
naya marz hai.

Jang me jeetna aur
uska jashn manana
Riwaz hai purana,
Youn bin lade sabkuch haar jaana
Phir haar ka jashn manana,
yeh,
Naya dastoor hai.

Kuch paana, aur paakar khona
Toh samajh aata hai,
Youn bin kuch paaye hi sab kuch khoo dena
yeh,
Naya sa ahsas hai.

Pee ke ladkhadana
aur ladkhada ke sambhal jana to saaki
Purani aadat thi,
Youn bin piye ladkhadana
aur ladkhadayee he jaana
yeh,
nayee bala hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success